Sunday, March 22, 2009

Duvidha

Zindagi ke chaar kshan socha jee loon umang se
Aakhir cheez kya hai chaar Kshan dekh loon to dhang se
Pata nahin nazar lagi do kshano ke ant ko
Sikuda hua hoon bheetar hi, vichar khade hain dang se

Raat ki chadar lapete waqt aaya kaal sa
aaj bhi yaad hai woh din bhara bhoochal sa
Krandan karti aashayein, rok na paaya us dwand ko
pada shithil main nirjeev sa, padh na paya us chhand ko

sochta hoon kya kiya tha jo phansa toofan mein
tinke sanjota vishwas ke, uth to loonga phir kabhi aage badha yeh than main
Vipda hai aayi ghor sir pe, kaise jutaoon hausla
lagta nahin main khush kabhi tha, shrishti ke is gaan main

lathpath pada hoon nirjeev sa, nirashaon ke gart main
kya kabhi main uth sakoonga sachhai ke arth main
Chaar kshan ab bhram lage hain, laga raha main swarth main
Ab badhoonga nischayi, aaj kaliyug paarth main

Shakti ka aalap sun, aaj mann ki baat sun
Jo nahi hai mil saka, uski aaz aagaz sun
Laga hai jo nischay ke path par, krodh aur shanka se bhinna
Ban ja pathik us raah ka, chhod chal apne padchinha